phirte rahe azal se abad tak udaas ham
aa.e na inqilāb-e-zamāna ko raas ham
dekheñge chhū ke surḳh badan āftāb kā
tabdīl kar chuke haiñ ḳhalā kā libās ham
ye zindagī to ḳhūn-e-jigar pī ga.ī tamām
kaise bujhā.eñ sūkhe samundar kī pyaas ham
shahr-e-junūñ kī dhuup jalā degī jism-o-jāñ
chaliye chaleñ ghanere chanāroñ ke paas ham
pur-nūr hai hamīñ se ḳharāba hayāt kā
rātoñ kā rañg tum ho ujāloñ kī aas ham
amrit sharāb zahr ajī kuchh to Dāliye
aa.e haiñ le ke duur se ḳhālī gilass ham
jab se bichhaḌ ga.ī tirī ḳhāna-ba-dosh yaad
ai 'prem' suune ghar kī tarah haiñ udaas ham