raat kī bhīgī palkoñ par jab ashk hamāre hañste haiñ
sannāToñ ke saañp diloñ kī tanhā.ī ko Daste haiñ
kal tak mai-ḳhāne meñ jin ke naam kā sikka chaltā thā
qatra qatra mai kī ḳhātir aaj vo log taraste haiñ
ai mere majrūh tabassum rūp-nagar kī riit na pūchh
jin ke sīnoñ meñ patthar haiñ un par phuul baraste haiñ
shahr-e-havas ke saudā.ī ḳhud jin kī rūheñ nañgī haiñ
mere tan kī uryānī par āvāze kyuuñ kaste haiñ
chhīn sakegā kaun sabā se lams hamārī sāñsoñ kā
ham phūloñ kī ḳhushbū ban kar gulzāroñ meñ baste haiñ
ashkoñ kī qīmat kyā jāneñ pyaar ke jhūTe saudāgar
in sayyāl nagīnoñ se to hiire motī saste haiñ
kaun aa.egā nañge pairoñ sham.a jalā kar shaam Dhale
'prem' mohabbat kī manzil ke baḌe bhayānak raste haiñ