salīqa hai mujhe tāroñ se lau lagāne kā
ki maiñ charāġh nahīñ daaġh ke gharāne kā
vo dekh barf ke phūloñ meñ jāgtī hai sahar
yahī hai kyā tirā andāz muskurāne kā
ḳhulūs shart hai pī lūñgā zahr bhī ai dost
to pahle siikh mujhe Dhañg āzmāne kā
liyā jo shāḳh-e-gul-e-tar ko jhuk ke bāñhoñ meñ
vo ik bahāna thā tujh ko gale lagāne kā
chalī jo yaad tumhārī alakh jagātī huī
bhaTak gayā koī jogī kisī Thikāne kā
uḌuuñ to chuum luuñ tujh ko ki ek jugnū huuñ
tū ḳhvāb hai kisī parbat ke shāmiyāne kā
mirī lagan kā safīna na Duub jaa.e kahīñ
tirā vajūd bhañvar hai kisī bahāne kā
tire kalām tire jaam tere naam se 'prem'
chamak rahā hai sitāra tire zamāne kā