Prem Warbartani

duniya soche shauq se soche aaj aur kal ke bare mein

Prem Warbartani

Dinga, Punjab, Pakistan

1930-1979
duniyā soche shauq se soche aaj aur kal ke baare meñ
maiñ kyuuñ apnā chain gañvā.ūñ us pāgal ke baare meñ
sañg-e-marmar kī qabroñ meñ mahv-e-ḳhvāb the ham donoñ
kal shab dekhā ḳhvāb ajab sā tāj-mahal ke baare meñ
āḳhir us kī sūkhī lakḌī ek chitā ke kaam aa.ī
hare-bhare qisse sunte the jis pīpal ke baare meñ
mere shītal man kī jvālā ko to aur bhī bhaḌkāyā
log na jaane kyā kahte haiñ gañgā-jal ke baare meñ
aañsū ban kar TuuT gayā thā jo sapnoñ kī palkoñ se
saat yugoñ se soch rahā huuñ maiñ us pal ke baare meñ
chūmo ghūñghaT khol ke chūmo us dulhan ke hoñToñ ko
ye apnā dastūr hai mai kī har botal ke baare meñ
vo jo kuTiyā Daal rahā hai vīrāne meñ shahr se duur
saarā shahr pareshāñ kyuuñ hai us pāgal ke baare meñ
'prem' bharī mahfil meñ koī daad nahīñ fariyād nahīñ!
chup sī hai vo jān-e-ġhazal bhī merī ġhazal ke baare meñ
Top Urdushayar.com