dekho ki dil-jaloñ kī kyā ḳhuub zindagī hai
parvāne jal chuke haiñ aur sham.a jal rahī hai
kahne ko muḳhtasar sā ik lafz hai mohabbat
lekin usī meñ saarī duniyā chhipī huī hai
ḳhvāb-e-hasīñ se mujh ko chauñkā diyā hai kis ne
kis ne chaman meñ aa kar āvāz mujh ko dī hai
dekho zarā faroġh-e-husn-e-bahār dekho
ik ik kalī chaman kī dulhan banī huī hai
laa.e bashar kahāñ se us husn kī misāleñ
qudrat jise banā kar hairat meñ kho ga.ī hai
bujhtī nahīñ hai saare aalam ke āñsuoñ se
ye kaisī aag mere dil meñ bhaḌak rahī hai
ai 'prem' zarb-e-sar se zindāñ ko toḌ Daalo
pābandiyoñ kā jiinā bhī koī zindagī hai