dāġh-e-junūñ dimāġh-e-pareshāñ meñ rah gayā
dāman meñ ḳhaar chaak garebāñ meñ rah gayā
jab do qadam junūñ meñ mirā saath ho gayā
phailā ke paañv qais bayābāñ meñ rah gayā
abrū-e-yār se jo bahut munfa.il huā
muñh Daal kar hilāl garebāñ meñ rah gayā
taqlīd ban paḌī na tumhārī ḳhirām kī
tā.ūs laḌkhaḌā ke gulistāñ meñ rah gayā
aa.ī bahār aur na chhūTā maiñ ai junūñ
kaisā taḌap ke ḳhāna-e-zindāñ meñ rah gayā
tuuda qazā ne nāvak-e-jallād kā kiyā
maiñ Dher ho ke ganj-e-shahīdāñ meñ rah gayā
kyā hādisa paḌā mire yūsuf par ai 'sabā'
dil gir ke un kī chāh-e-zanaḳhdāñ meñ rah gayā