kis ne dekhe hoñge ab tak aise na.e nirāle patthar
maiñ ne apne tāj-mahal meñ chunvā.e haiñ kaale patthar
jo hīroñ ke ruup meñ dar dar apne aañsū baañT rahe haiñ
un fan-kāroñ par pheñkeñge kab tak duniyā vaale patthar
jaane kaun the jin ko jīvan-rut se bhiik milī rañgoñ kī
apnī suunī jholī meñ to phūloñ ne bhī Daale patthar
maqtal kī be-rahm fasīleñ sar tak aa pahuñchī haiñ āḳhir
mere jism kī dīvāroñ se ab to koī haTā le patthar
pyaar tumhārā jhūTā hai aur jhūTā hai bhagvān bhī shāyad
varna kuchh to kahte būḌhe mandir ke rakhvāle patthar
apne apne naam ke ujle shīsh-mahal kī ḳhair manāo
har shohrat kī muTThī meñ haiñ rusvā.ī ke kaale patthar
ai dhanvāno tum kyā jaano zauq-e-ibādat qadr-e-parstish
tum sab hiire motī le lo kar do mire havāle patthar
'prem' is yug kī sāl-girah par aur bhalā kyā tohfa dete
chāñd kī dilkash dhartī se bhī ham ne DhūñDh nikāle patthar