Prem Warbartani

ye shab to kya sahar ko bhi shayad nahin pata

Prem Warbartani

Dinga, Punjab, Pakistan

1930-1979
ye shab to kyā sahar ko bhī shāyad nahīñ patā
maiñ āḳhirī charāġh huuñ sūraj ke shahr kā
bazm-e-sukūt-e-dil meñ hai halchal machī huī
sārañgiyāñ haiñ kis ke badan kī ġhazal-sarā
merī bayāz-e-dard vo paḌh kar bahut hañse
thā naam jin kā pahle varaq par likhā huā
dekhā ajiib ḳhvāb amāvas kī raat ne
ham chal rahe the chāñd pe donoñ barhana-pā
sho.aloñ ke haath the ki ThiThurte chale ga.e
phir barf kā libās kisī ne pahan liyā
sone kī tashtarī meñ sajā kar na phuul bhej
ye khel mujh ġharīb se dekhā na jā.egā
ḳhushbū ke ḳhvāb meñ na Dhalī zindagī magar
chandan kī lakḌiyoñ se jalānā mirī chitā
kāġhaz kī naav aag ke dariyā meñ Daal dī
kyā jaane aur chāhtī kyā hai tirī anā
ai dost is qadar bhī akelā koī na ho
maiñ ḳhud bhī apne saath nahīñ dūsrā to kyā
ai 'prem' yuuñ to dhuum thī saare jahān meñ
apne hī ghar meñ koī hameñ pūchhtā na thā
Top Urdushayar.com