but-parastī se na tīnat mirī zinhār phirī
sub.h sau baar ḳharīdī ga.ī sau baar phirī
bārhā qahqahoñ meñ tū ne uḌāyā hai use
sham.a rotī tirī mahfil se hai sau baar phirī
chal basī fasl-e-ḳhizāñ mausam-e-gul aa pahuñchā
le mubārak ho havā bulbul-e-gulzār phirī
ek jā bhī nazar aa.ī na asar kī sūrat
girtī paḌtī na kahāñ āh-e-dil-e-zār phirī
zulf-e-jānāñ ke jo saude meñ huā sar-gashta
saa.e kī tarah mire saath shab-e-tār phirī
bhiik mañgvā.ī faqīroñ kī tarah shāhoñ ko
aisī niyyat tirī ai charḳh-e-sitam-gār phirī
ai 'sabā' dekh liyā ham ne usī tak sab the
phir gayā saarā jahāñ jab nazar-e-yār phirī