adū-e-jāñ but-e-be-bāk niklā
baḌā qātil baḌā saffāk niklā
sanobar qad-kashī meñ ḳhaak niklā
vo sarv-e-qad chaman kī naak niklā
farishtoñ ko kiyā maat aadmī ne
qayāmat kā ye musht-e-ḳhāk niklā
uḌā dī qaid-e-maz.hab dil se ham ne
qafas se tā.ir-e-idrāk niklā
mohabbat se khulā hāl-e-zamāna
ye dil lauh-e-tilism-e-ḳhāk niklā
nikal aa.ī falak kī duur se ruuh
bhañvar se ḳhuub ye tairāk niklā
vo pazhmurda thā fasl-e-gul jo aa.ī
chaman se sūrat-e-ḳhāshāk niklā
shikār-afgan maiñ dil ko jāntā thā
ġhazāl-e-basta-e-fitrāk niklā
mare ham aarzū un kī bar aa.e
hamārā hausla kyā ḳhaak niklā
junūñ meñ bāġh-e-ālam ko jo dekhā
ajab sahrā-e-vahshat-nāk niklā
nikaltī hai badan se jis tarah ruuh
tire ghar se maiñ yuuñ ġhamnāk niklā
tumhāre qad se kuchh kam sarv Thahrā
sanobar to bahut kāvāk niklā
hamārī sāda-lauhī kaam aa.ī
hisāb-e-roz-e-mahshar paak niklā
tarāra phirte hī pahuñchā adam meñ
samand-e-umr kyā chālāk niklā
bhare laḌkoñ ne dāman pattharoñ se
jahāñ terā garebāñ chaak niklā
miTāyā daur-e-sāqī mohtasib ne
adū jamshed kā zahhāk niklā
'sabā' ham hashr ko mujrim jo nikle
shafā.at ko shah-e-laulāk niklā