bach kar kahāñ maiñ un kī nazar se nikal gayā
ik tiir thā ki saaf jigar se nikal gayā
ḳhud raftagī hī chashm-e-haqīqat jo vā huī
darvāza khul gayā to maiñ ghar se nikal gayā
mahv-e-jamāl rah ga.e ham kuchh ḳhabar nahīñ
aayā kidhar se yaar kidhar se nikal gayā
kaisā havā huā mire rone ko dekh kar
dāmān-e-abr dīda-e-tar se nikal gayā
rone se hijr-e-yār meñ taskīn ho ga.ī
dil kā buḳhār dīda-e-tar se nikal gayā
āḳhir kiyā aḳhīr-e-shab-e-vasl ne mujhe
dam pahlī bāñg-e-murġh-e-sahar se nikal gayā
aahoñ ne mujh ko ātish-e-ġham se najāt dī
mānind-e-dūd nār-e-saqar se nikal gayā
dikhlāyā nā-tavānī ne ghar yaar kā mujhe
misl-e-nigāh rauzan-e-dar se nikal gayā
saaqī kī chashm-e-mast ne aise dhueñ uḌaa.e
sho.ala sā ek ātish-e-tar se nikal gayā
joban se Dhal chalī haiñ kahāñ ab laTak kī chaal
vo pech un ke mū-e-kamar se nikal gayā
us gul ke dāġh-e-ishq ne aisā kiyā gudāz
ghul ghul ke maġhz sham.a ke sar se nikal gayā
mushkil hai ai 'sabā' pa karo jabr iḳhtiyār
hai ḳhair dil jo ishq ke shar se nikal gayā