Abhishek Joshii Tulsi

sab muafi mangti chiTThi ko baghi kahte hain

Abhishek Joshii Tulsi

Uttarakhand, India

1997
sab muāfī māñgtī chiTThī ko bāġhī kahte haiñ
ham to gardan jhūltī phāñsī ko bāġhī kahte haiñ
gūñgoñ ne āvāz dī to saare bahre chal paḌe
aur andhe aa ke is Tolī ko bāġhī kahte haiñ
shahr bhūke khā ga.e haiñ jaane kitnī bastiyāñ
shahr kā muñh chīrtī bastī ko bāġhī kahte haiñ
bas samajh aatī nahīñ hai is liye jāhil sabhī
ādivāsī logoñ kī bolī ko bāġhī kahte haiñ
sar Dhakegī jab talak hai ḳhūb-sūrat tab talak
jab kamar kastī hai to chunarī ko bāġhī kahte haiñ
haar maanī thī na dushman se ki jis ne ham use
daropdī kī jañg-jū saaḌī ko bāġhī kahte haiñ
ek buḌhiyā ko mire ash.ār kyā apne lage
naujavāñ shā.ir sabhī tulsī ko bāġhī kahte haiñ
Top Urdushayar.com