gaañv meñ dekho zarā kis niiñd meñ sab chal rahe haiñ
TuuT kar saare makāñ khañDar ke paikar Dhal rahe haiñ
aag bāñTī is tarah sab se baḌī jamhūriyat ne
bujh rahe chūlhe haiñ ghar meñ aur jañgal jal rahe haiñ
aatmā ham ne jalā dī ḳhud ke uupar oḌhne ko
aur phir is raakh ko apne badan par mal rahe haiñ
kyā ġhazab hai garm ho kar bhī havā uḌtī nahīñ hai
sūkhne nadiyāñ lagī haiñ aur parvat gal rahe haiñ
kaT rahī hai saañs ḳhud ko girvī rakhvāte chhuḌāte
zindagī ke naam par sab log ḳhud ko chhal rahe haiñ
gāḌte bārūd haiñ dhartī kī chhātī phaaḌ kar jo
kyoñ hue hairān jab lag goliyoñ ke phal rahe haiñ
ye haqīqat jaan lo koī nishāñ baaqī na hogā
aaj tum rahte jahāñ ho us jagah ham kal rahe haiñ
kyoñ mohabbat kar rahe haiñ aap bas ik maiñ se mil kar
aur kitne maiñ na jaane mere bhītar pal rahe haiñ