bikharnā TūTnā bhī aur anā ke saath bhī rahnā
sitam ījād bhī karnā vafā ke saath bhī rahnā
tirā andāza aisā hai añdheroñ kī kahānī meñ
jalānā kuchh diye bhī aur havā ke saath bhī rahnā
yahāñ to shoḳhiyoñ ko apnī zebā.ī se matlab hai
lahū meñ bhī machalnā aur hinā ke saath bhī rahnā
ajab rañg-e-ta.alluq hai mohabbat kā mire dil se
ki us ko toḌnā bhī aur sadā ke saath bhī rahnā
haram aur dair sab naqsh-e-mohabbat haiñ so dil ko hai
ḳhad-o-ḳhāl-e-butāñ meñ bhī ḳhudā ke saath bhī rahnā
lahū kā haal hai 'jāved' aisā jaise nashsha ho
dhḌaknā dil meñ bhī bād-e-sabā ke saath bhī rahnā