kahiye kis darja vo ḳhurshīd-jamāl achchhā hai
muḳhtasar ye ki vo aap apnī misāl achchhā hai
dūsroñ ke dil-e-nāzuk kā ḳhayāl achchhā hai
koī pūchhe to maiñ kah detā huuñ haal achchhā hai
aa.e din kī to nahīñ Thiik junūñ-ḳhezī-e-dil
mausam-e-gul to ye bas sāl-ba-sāl achchhā hai
mujh ko kaafī hai maiñ samjhūñgā use husn-e-javāb
bas vo farmā deñ ki saa.il kā savāl achchhā hai
ye jo bigḌā tirī taqdīr bigaḌ jā.egī
dil hai dil ye ise jitnā bhī sambhāl achchhā hai
is se zaa.il ho 'nazar' us se ho dil tak raushan
rū-e-ḳhurshīd se vo rū-e-jamāl achchhā hai