sar na sajde se uThā tāḳhīr par tāḳhīr kar
zarre jo taht-e-jabīñ aa.e unheñ iksīr kar
banda-e-rab ban ke raushan apnī tū taqdīr kar
ālam-e-kun hai tirā qabze meñ ye jāgīr kar
ashk-bārī hubb-e-ahamad uns-e-maḳhlūq-e-jahāñ
ye haiñ ajzā-e-salāsa in se dil ta.amīr kar
dāman-e-hastī meñ tere jo haiñ zarre ḳhaak ke
zarb-e-allāh-hū se is miTTī ko pur-tanvīr kar
is tarah se kuchh na kuchh shāyad ki halkā bojh ho
iztirāb-e-dil 'nazar' apnā tū ālamgīr kar