Mohammad Abdul Hameed Siddiqi Nazar Lakhnawi

musalman dekh kar ab dil ki hairani nahin jati

Mohammad Abdul Hameed Siddiqi Nazar Lakhnawi

Chinhat, Uttar pradesh, India

1927-1994
musalmāñ dekh kar ab dil kī hairānī nahīñ jaatī
kujā sīrat ki sūrat tak bhī pahchānī nahīñ jaatī
hadīs-e-ġham sunāne se pareshānī nahīñ jaatī
magar kuchh log haiñ jin kī ye nādānī nahīñ jaatī
janāb-e-shaiḳh bol uTTheñ ba-har mab.has ba-har mauqa
ki un kī ḳhū-e-pindār-e-hama-dānī nahīñ jaatī
sunā sail-e-tamannā meñ hazāroñ shahr-e-dil Duube
magar phir bhī tamannāoñ kī tuġhyānī nahīñ jaatī
sajāyā ham ne tasvīr-e-butāñ se ḳhāna-e-dil ko
magar bā.īñ hama us ghar kī vīrānī nahīñ jaatī
mohammad-mustafā kī shān-e-rif.at koī kyā jaane
jahāñ vo haiñ vahāñ tak fikr-e-insānī nahīñ jaatī
kiyā logoñ ne gard-ālūd kitnā chehra-e-māzī
'nazar' hairat hai phir bhī is kī tābānī nahīñ jaatī
Top Urdushayar.com