Wazir Ali Saba Lakhnavi

be-tabi-e-dil ne zar-pa kar

Wazir Ali Saba Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1795-1885
be-tābi-e-dil ne zār-pā kar
de de paTkā uThā uThā kar
ghar meñ da.avā na husn kā kar
yūsuf se nikal ke sāmnā kar
zulfoñ ko na chhoḌ tū baḌhā kar
nāzuk hai giregā jhoñk khā kar
baiThe jo vo shab naqāb uThā kar
bujhne lagī sham.a jhilmilā kar
barbād na kar tū aabrū ko
mānind-e-habāb sar uThā kar
us gul kī mizha ne maar Daalā
kāñTe kī tarah sukhā sukhā kar
be-tābi-e-dil agar dikhā.ūñ
bijlī rah jaa.e tilmilā kar
saffāk ne band band kaaTā
choTeñ mārīñ jhukā jhukā kar
allāh re sozish-e-dil ai yaar
maarā kis aag meñ jalā kar
paire koī ḳhaak bahr-e-ġham meñ
āḳhir Duubā maiñ Dhab-Dhabā kar
phabtī kahtī haiñ abr-e-tar ke
achchhī sūjhī mujhe rulā kar
vo mast haiñ arsh par Tike haath
nashe meñ gire jo laḌkhaḌā kar
gard-e-ġham ne zamīñ jhakā.ī
chhoḌā mujhe ḳhaak meñ milā kar
bose ke savāl par vo bigḌe
muñh kī khaa.ī zabāñ hilā kar
naala koī ban paḌā jo ham se
aflāk ko rakh diyā miTā kar
ḳhauf-e-dozaḳh se kāñptā huuñ
saaqī mujhe jaam de tapā kar
vo naza.a meñ haal sun ke ro.e
kaam aa.ī zabāñ laḌkhaḌā kar
qissa dil se uThā duī kā
parchhā ho jaa.e faisla kar
jab kuuch kiyā 'sabā' adam ko
rah jā.eñge yaar ḳhaak uḌā kar
Top Urdushayar.com