nazāra karūñ kaise tirī jalvagarī kā
parda abhī haa.il hai mirī be-basarī kā
uslūb nayā raas nahīñ chāragarī kā
bīmār pe aalam hai vahī be-ḳhabarī kā
chaskā use uf paḌ hī gayā dar-ba-darī kā
kyā kījiye insāñ kī is āshufta-sarī kā
ye rāh-e-mohabbat hai ye kāñToñ se bharī hai
maqdūr nahīñ sab ko mirī ham-safarī kā
hamdam na uḌā jāma-e-aḳhlāq kī dhajjī
dīvānoñ ko hotā hai junūñ jāma-darī kā
dekhā hai ki khulte nahīñ dil ahl-e-duval ke
bhartā nahīñ muñh kāsa-e-daryūza-garī kā