Mohammad Abdul Hameed Siddiqi Nazar Lakhnawi

chehra un ka subh-e-raushan gesu jaise kali raat

Mohammad Abdul Hameed Siddiqi Nazar Lakhnawi

Chinhat, Uttar pradesh, India

1927-1994
chehra un kā sub.h-e-raushan gesū jaise kaalī raat
bāteñ un kī sub.hān-allāh goyā qur.āñ kī āyāt
ruḳh kā jalva pinhāñ rakkhā paidā kar ke maḳhlūqāt
husn-e-zāhir sab ne dekhā kis ne dekhā husn-e-zāt
jazbe kī sab garmī sardī bahte ashkoñ kī barsāt
ham ne saare mausam dekhe ham par guzre sab hālāt
ġham kī saarī chāleñ gahrī bachte bachte āḳhir-kār
dekhā is bechāre dil ne bebas ho kar khaa.ī maat
jīte-jī kab duniyā pūchhe marte hī is darja pyaar
hāthoñ-hāth uThā.e duniyā laa.e ashkoñ kī sauġhāt
husn-e-ḳhud-bīñ jis kī fitrat sheḳhī shoḳhī zulm-o-jaur
dām-e-ulfat meñ phañs jaa.e merī āñkhoñ dekhī baat
umr-e-pāyāñ kī manzil meñ ahd-e-māzī aa.e yaad
ab bhī 'nazar' meñ raqsāñ mere bhūle bachpan ke lamhāt
Top Urdushayar.com