Mohammad Abdul Hameed Siddiqi Nazar Lakhnawi

jahan mein jins-e-wafa kam hai kal-adam to nahin

Mohammad Abdul Hameed Siddiqi Nazar Lakhnawi

Chinhat, Uttar pradesh, India

1927-1994
jahāñ meñ jins-e-vafā kam hai kal-adam to nahīñ
hamāre hausla-e-dil ko ye bhī kam to nahīñ
ham ek saañs meñ pī jaa.eñ jām-e-jam to nahīñ
sarishk-e-ġham haiñ piyeñge par ek dam to nahīñ
tumhāre qahr kī ḳhātir akele ham to nahīñ
nigāh-e-mehr bhī Daalo tumheñ qasam to nahīñ
ḳhudā kā ghar hai mirā dil yahāñ sanam to nahīñ
ye mai-kada to nahīñ hai ye kuchh haram to nahīñ
mire ġhamoñ kā tujhe kyā lagegā andāza
ki tujh ko apne hī ġham haiñ parā.e ġham to nahīñ
mire ḳhayāl meñ pechīdgī sahī lekin
tumhārī zulfoñ kī mānind pech-o-ḳham to nahīñ
junūñ nahīñ hameñ pīchhe lageñ jo duniyā ke
ḳhudā ke bande haiñ ham banda-e-shikam to nahīñ
hazār kaif bahisht-e-barīñ meñ haiñ lekin
dil apnā jis kā hai ḳhūgar vo kaif-e-ġham to nahīñ
lagegī der sambhalne meñ laġhzish0-e-dil se
sambhal khaḌe hoñ nazar laġhzish-e-qadam to nahīñ
Top Urdushayar.com