jashn manāo rone vaale girya bhuul ke mast raheñ
sārañgī ke tiir samā.at meñ imshab paivast raheñ
īrānī ġhālīche ke chau-gard nashisteñ qaa.em hoñ
kafūrī sham.oñ se raushan paiham ahl-e-hast raheñ
kasavāyā jaa.e ghoḌoñ se lakḌī ke pahiyoñ kā rath
tabl alam asvār payāde saare bandobast raheñ
rañg-e-saped-o-siyāh sunahrī sab shakloñ meñ zāhir hoñ
aag se apnī raakh uThā kar sonā chāñdī jast raheñ
naqqāre par choT marātib kā elaan sunātī hai
phuus kī kuTiyā.eñ marmar kī dīvāroñ se past raheñ
ek taraf kuchh hoñT mohabbat kī raushan āyāt paḌheñ
ik saf meñ hathiyār sajā.e saare jañg-parast raheñ