tum har ik rañg meñ ai yaar nazar aate ho
kahīñ gul aur kahīñ ḳhaar nazar aate ho
qābil-e-dīd tum ai yaar nazar aate ho
chashm-e-bad-dūr trahdār nazar aate ho
sūrateñ karte ho ai jaan hazāroñ paidā
tum na.ī shakl se har baar nazar aate ho
bhuul jaatā huuñ maiñ furqat ke gile aur shikve
shukr kartā huuñ jab ai yaar nazar aate ho
aa.ina dekhne ko jab nahīñ miltā tum ko
apnī tum tishna dīdār nazar aate ho
kahte ho ham nahīñ karte haiñ koī farmā.ish
jaan tak lene ko tayyār nazar aate ho
ḳhuuñ kisī āshiq-e-kushta kā chaḌhā hai sar par
rañg laa.e hue ai yaar nazar aate ho
band ho jaa.eñ na raste kahīñ dīvānoñ se
baal khole sar-e-bāzār nazar aate ho
rahtī haiñ aaTh pahar aap ko kañghī choTī
apnī zulfoñ meñ giraftār nazar aate ho
ḳhauf se burj meñ jallād-e-falak chhuptā hai
tum jo bāñdhe hue talvār nazar aate ho
sumbulistāñ haiñ mirī jaan sarāsar zulfeñ
ruḳh-e-gul-rañg se gulzār nazar aate ho
aabrū husn kī daulat se milī hai tum ko
rañg kundan sā hai zardār nazar aate ho
kyā hai be-yār khaTakte ho mirī āñkhoñ meñ
ai gulo baaġh meñ tum ḳhaar nazar aate ho
shaan hai gesuoñ se aap meñ sardārī kī
sabza-e-ḳhat se numūdār nazar aate ho
aise ma.ashūq zamāne meñ kahāñ milte haiñ
pyaar karne ke sazā-vār nazar aate ho
dono gesū pa.e āshiq haiñ kamandeñ dohrī
pech meñ lāoge ayyār nazar aate ho
tap-e-ulfat meñ 'sabā' hai ye tumhārā darja
diq ke āsār haiñ bīmār nazar aate ho