Ahmad Jahangeer

firozi tasbih ka ghera hath mein jalwa-afgan tha

Ahmad Jahangeer

1980
fīrozī tasbīh kā gherā haath meñ jalva-afgan thā
nāranjī sham.oñ se hujra ḳhair kī shab meñ raushan thā
rāh-ravoñ ne dasht-e-safar meñ har ummīd sañvārī thī
rañj kī raah pe chalne vāloñ kā har ḳhvāb muzayyan thā
raat huī hai ḳhema to naaqe se utārā jā.egā
diip kahāñ rakkhā hai jis meñ kuchh zaitūn kā roġhan thā
rañgoñ kī ye qaab ulaT de tasvīroñ par maaTī lep
khoj jo sone ke sikkoñ kā ik goshe meñ bartan thā
chiin meñ sunte haiñ shāyad ab ā.īna ījād huā
varna ik tālāb hī apnī ārā.ish kā darpan thā
mātam kī āvāz uThā.ī zanjīroñ ke halqoñ ne
haath bañdhe the gardan se par girya shām-tā-madyan thā
Top Urdushayar.com