Ahmad Jahangeer

gatha paDh kar aatish dhonki ganga se ashnan

Ahmad Jahangeer

1980
gāthā paḌh kar ātish dhoñkī gañgā se ashnān
maiñ ne har yug nazr guzārī har pīḌhī meñ daan
dhyān lagā kar āñkheñ mūñdīñ baiThā ghuTne Tek
mīThā lafz bhajan ban utrā sachchā sher gunān
maañ dhartī ko pesh-suḳhan ke rañg-birañge phuul
bhaag bharī ko bheñT sunahre misre kā lobān
saaya sachchal shaah kī ajrak raushan miir charāġh
amrohe se uTh kar aa.e ham bāġh-e-multān
sayyāre par zardī utrī dariyā miTTī ḳhushk
hāthī par haudaj kasvāo naake par pālān
ai dhartī ke tyāgī uTh kar ghor ḳhalā meñ baiTh
aglī gaaḌī kī ghanTī tak tū hai aur rahmān
farsh lapeTe taare jhāḌe narsañge kī phūñk
pālan-hārā tū daatā hai kar jo chāhe Thaan
manzar āb-o-tāb sameTe shāyad hai maujūd
lams haqīqat aks mujassam āvāzoñ par kaan
Top Urdushayar.com