Ahmad Jahangeer

shiraaz ki mai marw ke yaqut sambhaale

Ahmad Jahangeer

1980
shīrāz kī mai marv ke yāqūt sambhāle
maiñ koh-e-damāvand se aa pahuñchā himāle
hove to rahe shīsha-o-āhan kī hukūmat
kāñsī kī mirī teġh hai miTTī ke pyāle
har shaḳhs ba-andāz-e-digar vāsil-e-shak thā
uThā maiñ tirī bazm se īqān sambhāle
ab ishq-e-navardī hī Thikāne se lagā.e
sho.ala na jalā.e mujhe girdāb uchhāle
hone kī ḳhabar bhī na tirā hijr-zada de
bhar leve kabhī aah kabhī sham.a jalā le
bose kā talazzuz ho kabhī tauf kī rāhat
armān mirā ye dil-e-kāfir bhī nikāle
ib.hām ke reshoñ se banā bāġh-e-taḳhayyul
ho jaa.e kabhī chashm-e-tahayyur ke havāle
Top Urdushayar.com