Ahmad Jahangeer

zanjiron se bandha hua har ek yahudi takta tha

Ahmad Jahangeer

1980
zanjīroñ se bañdhā huā har ek yahūdī taktā thā
kosoñ duur se bābul kā raushan mīnār chamaktā thā
ġhaar kī rañgīñ tasvīroñ ko aur zamāne dekheñge
ham ne bas vo naqsh kiyā jo us lamhe ban saktā thā
ik shaffāf darīche meñ kuchh rañg birañge manzar the
gul-dānoñ meñ phuul farozāñ ātish-dān bhaḌaktā thā
maiñ jis masnad par thā vo to ik goshe meñ rakkhī thī
aur darīcha chupke se manzar kī samt saraktā thā
bārish chhappar tez havā.eñ misrī jaise sindhī giit
yaar sarā.e ke chūlhe par mīThā qahva paktā thā
jañgal gaañv parinde insāñ qisse meñ sab lākhoñ the
sayyāre kā sūraj lekin tanhā.ī meñ yaktā thā
Top Urdushayar.com