har masarrat se kinārā kar liyā
ham ne terā ġham gavārā kar liyā
chhaT ga.ī kuchh shām-e-ġham kī tīrgī
ashk jo ubhrā sitārā kar liyā
aañkh khultī hī nahīñ hai jis tarah
un kā sote meñ nazārā kar liyā
lutf farmāyā nigāh-e-nāz ne
apne bas meñ dil hamārā kar liyā
ai mire ġham-ḳhvār terā shukriya
maiñ ne apne ġham kā chārā kar liyā
shab kī tanhā.ī se phir ghabrā ga.e
phir yaqīn ham ne tumhārā kar liyā
sar pe tūfāñ ne uThāyā hai use
jis ne sāhil se kinārā kar liyā
dushmanī meñ jhuk ga.ī us kī kamar
āsmān ne kyā hamārā kar liyā
bin sahāre Dūbnā mushkil thā 'soz'
nā-ḳhudāoñ ko sahārā kar liyā