vaqt ab sar pe vo aayā hai ki sar yaad nahīñ
tere dīvānoñ ko bhī ab tirā dar yaad nahīñ
haa.e vo shab jo tire va.ada-e-shab meñ guzrī
haa.e vo shab hai ki jis shab kī sahar yaad nahīñ
zindagī kaise kaTī dāvar-e-mahshar ye na pūchh
vo safar yaad to hai raḳht-e-safar yaad nahīñ
mere a.amāl pe jaa.e to ye samjhūñgā tujhe
yaad hai dāman-e-tar dīda-e-tar yaad nahīñ
pyaar se ab bhī vo takte haiñ mujhe par un ko
jis ne dil luuT liyā thā vo nazar yaad nahīñ
umr-bhar thaam ke us shoḳh kā dāman ro.e
'soz' kyā us pe huā us kā asar yaad nahīñ