kuchh hasīñ yādeñ bhī haiñ dīda-e-nam ke saath saath
zindagī meñ husn bhī goyā hai ġham ke saath saath
dil tire hamrāh jaatā hai ki paayā jaatā hai
naqsh-e-dil merā tire naqsh-e-qadam ke saath saath
us ke saa.e kī tarah dekhā nahīñ us se judā
ham ne to yazdāñ ko paayā hai sanam ke saath saath
taaki huuñ donoñ kī lazzat se barābar mustafīd
vo karam farmāte rahte haiñ sitam ke saath saath
'soz' un kī chaah meñ ham ne sadā mahsūs kī
ek anjānī soz-e-ġham ke saath saath