Zafarul Hasnain Zafar

ye zindagi hai jise aaj tak nibha raha hun

Zafarul Hasnain Zafar

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1977
ye zindagī hai jise aaj tak nibhā rahā huuñ
vo maut hai ki tasavvur se ḳhauf khā rahā huuñ
na jaane kitnī hī lahreñ baneñgī dushman-e-jāñ
maiñ ret par tirī tasvīr phir banā rahā huuñ
tumhāre dil ko khaTaktī hai kyuuñ ye āb-o-havā
jahāñ meñ yādoñ kā ik gulistāñ sajā rahā huuñ
havas-e-nafs hai hargiz ye merā ishq nahīñ
ki jis ke vāste maiñ apnā ghar jalā rahā huuñ
vo ek laḌkī ki jis se mujhe hai ishq bahut
ye ik balā hai ki jis se nazar churā rahā huuñ
judā hue ka.ī sadiyāñ guzar ga.iiñ lekin
jabīn-e-husn pe ab bhī maiñ jagmagā rahā huuñ
Top Urdushayar.com