ātish-e-ġham se mirī jaan guzarnā hai abhī
TuuT kar mujh ko ka.ī baar bikharnā hai abhī
vahshatoñ par mirī hairān na ho dost mujhe
raqs karte hue sahrā meñ utarnā hai abhī
mere maulā ye tirā nuur to bar-haq hai magar
misl-e-ḳhurshīd jabīnoñ se ubarnā hai abhī
vāda-e-tark-e-ta.alluq ne rulāyā hai bahut
aur ḳhush yuuñ huuñ ki va.ade se mukarnā hai abhī
muntazir ḳhuld hai ye ek haqīqat hai magar
is safar ke liye mahshar se guzarnā hai abhī
husn ke rañg se pur-nūr hai paikar lekin
rañg-e-ulfat tirī tasvīr meñ bharnā hai abhī
ai zamīñ tere takallum se to vāqif huuñ magar
mujh ko ḳhāmoshī-e-aflāk se Darnā hai abhī
ishq kar lenā 'zafar' sahl to vaise bhī na thā
kyā qayāmat hai ki iz.hār bhī karnā hai abhī