aap apnī bevafā.ī dekhiye
ham se aur aisī burā.ī dekhiye
baat phir ham se banā.ī dekhiye
phir vahī taqrīr aa.ī dekhiye
aa.ina us but ko dikhlā kar kahā
aur sūrat haath aa.ī dekhiye
arsh kī zanjīr par turra huā
nāla-e-dil kī rasā.ī dekhiye
ham asīrān-e-tilism-e-ḳhāk haiñ
kyā huā vaqt-e-rihā.ī dekhiye
maar Daalā muñh chhupā kar aap ne
maut kis parde meñ aa.ī dekhiye
aamad aamad mausam-e-gul kī hue
phir tabī.at gud-gudā.ī dekhiye
dāġh-e-dil taarā hai chashm-e-mehr kā
ishq kī jalva-numā.ī dekhiye
merī jānib yuuñ nazar karnā na thā
aap ne bijlī girā.ī dekhiye
pheñkiye hāthoñ se phūloñ kī chhaḌī
merī gul-ḳhurda kalā.ī dekhiye
chashm-poshī is qadar achchhī nahīñ
ab to jaan āñkhoñ meñ aa.ī dekhiye
ek din ro ro ke tūfāñ lā.eñge
is qadar nā-āshnā.ī dekhiye
vaah re surma lagānā aap kā
shāḳh-e-nargis hai salā.ī dekhiye
saaf hai ā.īna-e-askandarī
is mirī dil kī safā.ī dekhiye
der hotī hai hamārī qatl meñ
ye nahīñ achchhī jhukā.ī dekhiye
lā.iye pilvā.iye jām-e-sharāb
dekhiye badle vo aa.ī dekhiye
mar ga.e lekin na rāz-e-dil khulā
aah bhī lab tak na aa.ī dekhiye
vo na aanā thā na aa.e ai 'sabā'
rafta rafta maut aa.ī dekhiye