Zafarul Hasnain Zafar

bahte dariya ko bhi ye kai kahan chhoDti hai

Zafarul Hasnain Zafar

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1977
bahte dariyā ko bhī ye kaa.ī kahāñ chhoḌtī hai
ishq ho jaa.e to rusvā.ī kahāñ chhoḌtī hai
kitne sailāb ga.e aa.e haiñ merī ḳhātir
pyaas se hai jo shanāsā.ī kahāñ chhoḌtī hai
zindagī chhoḌ de kab saath bharosa hī nahīñ
maut insāñ ko mere bhaa.ī kahāñ chhoḌtī hai
tairne vaale yahāñ Duub ga.e kyā karte
terī āñkhoñ kī ye gahrā.ī kahāñ chhoḌtī hai
dil to chāhe hai ke nādānī koī kī jaa.e
mujh ko tanhā merī dānā.ī kahāñ chhoḌtī hai
jhūTī bātoñ se ye chālāk to bach jaate haiñ
kisī dīvāne ko sachchā.ī kahāñ chhoḌtī hai
Top Urdushayar.com