Sadique Indori

ye intiha-e-junun hai ki ghair hi sa laga

Sadique Indori

ye intihā-e-junūñ hai ki ġhair hī sā lagā
jo āshnā thā kabhī aaj ajnabī sā lagā
vo ek saaya jo behis thā murde kī mānind
qarīb aayā to ik aks-e-zindagī sā lagā
ḳhud apnī laash liye phir rahā thā kāñdhoñ par
vo aadmī to na thā phir bhī aadmī sā lagā
vo ik vajūd jo paale hue thā sāñpoñ ko
nazar kī zad meñ jo aayā to bāñsurī sā lagā
tamām umr jise paik-e-dostī samjhā
huā jo tajraba vo naqsh-e-dushmanī sā lagā
vo ek karb-e-musalsal jo dil jalātā thā
tum aa ke paas jo baiThe to sarḳhushī sā lagā
ba-zāhir ek hī chehra thā sāmne lekin
kabhī kisī kā lagā to kabhī kisī kā lagā
mire shu.ūr kī kam-mā.igī ki ai 'sādiq'
yaqīn bhī kabhī tasvīr-e-vahm hī sā lagā
Top Urdushayar.com