mahak rahā hai badan saarā kaisī ḳhushbū hai
ye tere lams kī tāsīr hai ki jaadū hai
tumhārā narm-o-subuk haath chhū gayā thā kabhī
ye kaisī aag hai sozāñ har ek pahlū hai
hai kis qadar mutavāzin nigāh-o-dil kā milāp
ki jaise donoñ taraf ek saañ tarāzū hai
ravāñ-davāñ hai judā.ī kā karb ye kaisā
vo mutma.in na mujhe apne dil pe qaabū hai
zamāna kahtā hai jis ko hasīn tāj-mahal
vafā kī aañkh se Tapkā huā ik aañsū hai
bahut hasīn hai māhaul-e-zindagī 'sādiq'
nazar ke sāmne jab se vo ā.īna-rū hai