Wazir Ali Saba Lakhnavi

unki raftar se dil ka ajab ahwal hua

Wazir Ali Saba Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1795-1885
un kī raftār se dil kā ajab ahvāl huā
ruñdh gayā pis gayā miTTī huā pāmāl huā
dasht-e-vahshat kā ilāqa mujhe imsāl huā
dāġh-e-sauda sifat-e-nayyar-e-iqbāl huā
is bakheḌe se ilāhī kahīñ chhuTkārā ho
ishq-e-gesū na huā jaan kā janjāl huā
nazar-e-lutf na kī tū ne mire rone par
tifl-e-ashk ai mah-e-ḳhūbī na ḳhush-iqbāl huā
haiñ vo suufī jo kabhī nāla-e-nāqūs sunā
vajd karne lage ham dil kā ajab haal huā
paḌ gayā un pe mire pech meñ laane kā vabāl
kyā pareshān tire gesuoñ kā haal huā
daulat-e-faqr ho ai mun.imo aur kamlī ho
faḳhr kyā hai jo do-shāla huā rūmāl huā
apnī qismat kā navishta jo dikhāyā ham ne
hashr ke roz ġhalat nāma-e-a.amāl huā
āsmāñ ne mujhe mahrūm-e-shahādat rakkhā
teġh-e-qātil ke liye baḳht-e-siyah-e-Dhāl huā
log kahne lage kundan pe chaḌhā.e miinā
sabza-e-ḳhat se vo ḳhush-rañg tirā gaal huā
teġh-e-husn ai gul-e-tar ho ga.ī ḳhūn-ālūda
mujh pe ġhusse meñ terā muñh jo bahut laal huā
tā.ir-e-dil kī liye aap ne sayyādī kī
rishta-e-dām-e-balā zulf kā har baal huā
lā-makāñ tak kahīñ Thahrā na mirā pā-e-ḳhayāl
mazra-e-sabz-e-falak biich meñ pāmāl huā
ai 'sabā' aap ri.āyat na kareñ lafzoñ kī
zar-e-gul paayā jo gulchīñ ne to kyā maal huā
Top Urdushayar.com