ye kyā huā ki har ik rasm-o-rāh toḌ ga.e
jo mere saath chale the vo saath chhoḌ ga.e
vo aa.ine jinheñ ham sab aziiz rakhte the
vo pheñke vaqt ne patthar ki toḌ phoḌ ga.e
hamāre bhīge hue dāmanoñ kī shaan to dekh
falak se aa.e malak aur gunah nichoḌ ga.e
biphartī maujoñ ko kashtī ne rauñd Daalā hai
ḳhushā vo azm ki tūfāñ kā zor toḌ ga.e
rahegī guuñj hamārī to ek muddat tak
hamāre sher kuchh aise nuqūsh chhoḌ ga.e
un aa.e din ke havādis ko kyā kahūñ 'sādiq'
mirī taraf hī havāoñ kā ruḳh ye moḌ ga.e