Sadique Indori

ek ek lamha mujhe zist se be-zari hai

Sadique Indori

ek ik lamha mujhe ziist se be-zārī hai
merī har saañs sulagtī huī chiñgārī hai
kyā hī aurāq musavvar haiñ kitāb-e-dil ke
ḳhūn-e-armāñ se har ik safhe pe gul-kārī hai
zaḳhm hī zaḳhm haiñ āñkhoñ se lagā kar dil tak
soch meñ huuñ ki ye kis qism kī dildārī hai
ye simaTte hue saa.e ye larazte dar-o-bām
ik na.ī sub.h ke elaan kī tayyārī hai
har qadam par nazar aate haiñ salīboñ ke sutūn
ye koī ḳhvāb hai yā ālam-e-bedārī hai
kyuuñ uTheñ paañv junūñ ke sū-e-manzil 'sādiq'
ek ik gaam salāsil kī girāñ-bārī hai
Top Urdushayar.com