dil kī dahlīz talak ḳhud ko rasā.ī degā
mirā lahja mire sheroñ meñ sunā.ī degā
merā honā hai huā jis kī badaulat mumkin
ab vo chehra mirī āñkhoñ meñ dikhā.ī degā
maiñ ne āñkhoñ se tujhe duur kiyā thā lekin
ye na sochā thā ḳhudā aisī judā.ī degā
aur zarḳhez karegā ye mire lafzoñ ko
hijr yaktā hai to yaktā hī kamā.ī degā
dekh kar dasht ke tevar maiñ yahī sochtī huuñ
ishq abhī aur mujhe ābla-pā.ī degā
maiñ ne us dil ko dhaḌakne se hai rokā varna
tū samajhtā hai tujhe koī duhā.ī degā