baḌe nāzuk se jazboñ se mohabbat maiñ ne paalī thī
phir apne qīmtī lafzoñ kī us meñ jaan Daalī thī
na-jāne kaun se maz.hab se dīvāne kā rishta thā
ki us ne apnī hī tanhā sī ik bastī basā lī thī
guloñ sā chāñd sā tāroñ sā ham bhī shor karte the
ki kis darja mohabbat ham ne sar pe hī uThā lī thī
kabhī sochā hai tum ne bhī maiñ chup kyoñ ho ga.ī āḳhir
ki maiñ ne sabr se apnī zabāñ dil meñ dabā lī thī
kahīñ vo āḳhirī lamha tirī uljhan na ban jaa.e
so tujh se apnī āñkhoñ kī namī maiñ ne chhupā lī thī