maiñ zaḳhm zaḳhm rahūñ ruuh ke ḳharāboñ se
tū jism jism dahaktā rahe gulāboñ se
kisī kī chaal ne nashshe kā ras kashīd kiyā
kisī kā jism tarāshā gayā sharāboñ se
sabā kā haath hai aur hai tire gudāz kā lams
maiñ jāgtā hī rahūñ garm garm ḳhvāboñ se
qadam qadam hai chakā-chauñd chāhatoñ kā charāġh
maiñ shahr-e-ā.ina jaltā huuñ āftāboñ se
'atā' badan kī ye karvaT bhī nīm-shab kyā thī
tamām umr ujaltā huuñ inqilāboñ se