baḌā kaThin hai rāsta jo aa sako to saath do
ye zindagī kā fāsla miTā sako to saath do
baḌe fareb khāoge baḌe sitam uThāoge
ye umr-bhar kā saath hai nibhā sako to saath do
jo tum kaho ye dil to kyā maiñ jaan bhī fidā karūñ
jo maiñ kahūñ bas ik nazar luTā sako to saath do
maiñ ik ġharīb-e-be-navā maiñ ik faqīr-e-be-sadā
mirī nazar kī iltijā jo pā sako to saath do
hazār imtihān yahāñ hazār āzmā.isheñ
hazār dukh hazār ġham uThā sako to saath do
ye zindagī yahāñ ḳhushī ġhamoñ kā saath saath hai
rulā sako to saath do hañsā sako to saath do