diloñ ke dard jagā ḳhvāhishoñ ke ḳhvāb sajā
balā-kashān-e-nazar ke liye sarāb sajā
mahak rahā hai kisī kā badan sar-e-mahtāb
mire ḳhayāl kī Tahnī pe kyā gulāb sajā
koī kahīñ to sune tere arz-e-hāl kā habs
havā kī rehl pe āvāz kī kitāb sajā
vo kyā talab thī tire jism ke ujāle kī
maiñ bujh gayā to mirā ḳhāna-e-ḳharāb sajā
tamām shab thā tirā hijr terā ā.īna-gar
tamām shab mire pahlū meñ āftāb sajā
na tū hai aur na maiñ huuñ na vasl hai na firāq
sajā sharāb sajā jā-ba-jā sharāb sajā
'atā' ye aañkh dhanak manziloñ kī chaah meñ thī
chhaTā jo abr ghanī tīrgī kā baab sajā