Wazir Ali Saba Lakhnavi

koi surat se gar safa ho

Wazir Ali Saba Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1795-1885
koī sūrat se gar safā ho
ā.ina-e-dil ḳhudā-numā ho
māshā-allāh chashm-e-bad-dūr
kyā ḳhuub javān-e-mah-laqā ho
munsif hoñ shaiḳh-o-gabr dil meñ
qissa chuk jaa.e faisla ho
dozaḳh ko bhī maat kar diyā hai
ai sozish-e-dil tirā burā ho
masnad kaisī faqīr huuñ maiñ
thoḌī sī jagah ho boriyā ho
kahte haiñ vo mere dekhne par
dekho koī na dekhtā ho
ma.alūm haiñ vā.izoñ kī bāteñ
us se kaheñ jo na jāntā ho
yaaro samjhāo us sanam ko
kaise tum banda-e-ḳhudā ho
gulchīñ mumkin hai phuul toḌe
bulbul naala bhī jāntā ho
kis se miltā hai dekh ai dil
ġhāfil aisā na ho daġhā ho
sun le kabhī mujh faqīr kī bhī
allāh kare tirā bhalā ho
ye haal hai naqd-e-dil ko kho kar
jaise koī luTā huā ho
ulTī ulTī na kyuuñ hoñ bāteñ
TeḌhī TeḌhī hai ḳhafā ḳhafā ho
banda bāhar kabhī nahīñ hai
jab chāhe ajal kā sāmnā ho
allāh kare nāma-e-amal par
terā naqsha khiñchā huā ho
ai yaar kabhī to kaam aao
itnī muddat kī āshnā ho
abrū se chashm se nigah se
aafat ho qahr ho balā ho
kab se ummīd-o-bīm meñ haiñ
jo kuchh honā ho yā ḳhudā ho
kuchh rahm bhī hai ḳhudā ḳhudā kar
bande se sabr tā kujā ho
paḌhte ho 'sabā' butoñ kā kalima
kahne ko banda-e-ḳhudā ho
Top Urdushayar.com