chob-e-sahrā bhī vahāñ rashk-e-samar kahlā.e
ham ḳhizāñ-baḳht shajar ho ke hajar kahlā.e
ham tah-e-ḳhāk kiye jaañ kā araq un ke liye
aur pas-e-rāh-e-vafā gard-e-safar kahlā.e
un kī poroñ meñ sitāre bhī haiñ añgāre bhī
vo sadaf jism hue ātish-e-tar kahlā.e
apnī rāhoñ kā gulistān lage vīrāna
un kī dahlīz kī miTTī bhī guhar kahlā.e
jin kī ḳhairāt se lamhoñ kī laveñ jāgtī haiñ
shab-nizhādoñ meñ vahī dast-e-nigar kahlā.e
un ke katbe pe yahī vaqt ne likkhā hai ki vo
raushnī bāñTte the tiira nazar kahlā.e
vo to dīvāroñ meñ chuntā hai zamāne kā zamīr
ham hī kyā sañg-e-sar-e-rāhguzar kahlā.e
'shād' be-sarfa gayā umr kā sarmāya-e-harf
ham ki the jān-e-sadā guñg-e-hunar kahlā.e