yak lamha sahī umr kā armān hī rah jaa.e
is ḳhalvat-e-yaḳh meñ koī mehmān hī rah jaa.e
qurbat meñ shab-e-garm kā mausam hai tirā jism
ye ḳhitta-e-jāñ vaqf-e-zamistān hī rah jaa.e
mujh shāḳh-e-barahana pe sajā barf kī kaliyāñ
patjhaḌ pe tire husn kā ehsān hī rah jaa.e
farfāg ke āshob meñ jam jaatī haiñ socheñ
is karb-e-qayāmat meñ tirā dhyān hī rah jaa.e
tujh bin to sunā.ī na de sūraj kī sadā bhī
dil dasht-e-havā-basta hai sunsān hī rah jaa.e
marmar kī siloñ meñ to ghuTe aage kā dam bhī
ye qarya-e-jānāñ hai yahāñ jaan hī rah jaa.e
sochūñ to shuāoñ se tarāshūñ tirā paikar
chhū luuñ to vahī barf kā insān hī rah jaa.e
ye shaam ye chāñdī kā barastā huā jharnā
koī tirī zulfoñ meñ pareshān hī rah jaa.e
sūrat se vo 'gul-barf' sahī phir bhī 'atā-shād'
tāsīr meñ vo mushk kī pahchān hī rah jaa.e