Atta Shad

gahri hai shab ki aanch ki zanjir-e-dar kaTe

Atta Shad

Faizabad, Uttar pradesh, India

1939-1997
gahrī hai shab kī aañch ki zanjīr-e-dar kaTe
tārīkiyāñ baḌhe to sahar kā safar kaTe
kitnī shadīd hai ye ḳhunuk surḳhiyoñ kī shaam
sulgā hai vo sukūt ki tār-e-nazar kaTe
saugand hai ki tark-e-talab kī sazā mile
ruk jaa.e gar qadam kī masāfat to sar kaTe
kyuuñ kusht-e-e'tibār bhī sarsar kī zad meñ ho
kyā intizār-e-ḳhulq se fasl-e-hunar kaTe
yuuñ bhī to ho ki sar ke sabab ho shikast-e-sañg
ye bhī to ho kabhī ki shajar se tabar kaTe
khil jaa.eñ raushnī pe mire pattharoñ ke rañg
us raat sī pahāḌ kā siina magar kaTe
sadiyoñ safar hai 'shād' mujhe ḳhud mirā vajūd
dil se ġhubār raah chhuTe rahguzar kaTe
Top Urdushayar.com