tandurustī dī ḳhudā ne to naqāhat na ga.ī
ya.anī tauba se bhī isyāñ kī nadāmat na ga.ī
shaiḳh-jī mahfil-e-rindāñ se ye kahte nikle
shukr-sad-shukr ki bāzār meñ izzat na ga.ī
naam baaqī hai zamāna meñ to bhar paayā
ga.e mardān-e-ḳhudā ḳhalq se shohrat na ga.ī
kis kā jalva nazar aayā thā use roz-e-azal
aaj tak nargis-e-bedār kī hairat na ga.ī
mar gayā mar ke bhī ThanDī na huī laash marī
soz-e-furqat kī magar dil se harārat na ga.ī
zard nuqra nahīñ insāñ kī tarah murda-pasand
jo gayā qabr meñ tanhā gayā daulat na ga.ī
huur jo tujh se mushābah thī usī ko dekhā
marne ke ba.ad bhī zālim tirī ulfat na ga.ī
nafas bahkātā hai piirī meñ to kahtā huuñ 'saḳhā'
kyuuñ ba-shaitān tirī ab bhī sharārat na ga.ī