Syed Nazeer Hasan Sakha Dehlavi

kabhi bahaar na aai bahaar ki surat

Syed Nazeer Hasan Sakha Dehlavi

Delhi, India

-1933
kabhī bahār na aa.ī bahār kī sūrat
badal ga.ī chaman-e-rozgār kī sūrat
havā-e-lutf-o-karam ke faqat sahāre par
paḌe haiñ raah meñ gard-o-ġhubār kī sūrat
vafā kī shakl na dekhī tumhāre va.adoñ par
yahī zamāne meñ hai e.atibār kī sūrat
pas-e-fanā mirī qismat khulī vo rote haiñ
ḳhud apne ghar meñ banā kar mazār kī sūrat
bagūla dekh ke shukr-e-ḳhudā vo kahte haiñ
nazar meñ phir ga.ī ik ḳhāksār kī sūrat
jidhar zamāna phirā maiñ bhī saath saath phirā
jo rañg dekhā vahī iḳhtiyār kī sūrat
har ek baat pe chubhtī huī jo kahtā huuñ
tumhāre dil meñ khaTaktā huuñ ḳhaar kī sūrat
kisī kā bhes bhareñge 'saḳhā' haiñ chalte hue
hazār ruup se dekheñge yaar kī sūrat
Top Urdushayar.com